Saturday 21 March 2020

Humsafar

Mai chala kuch kadam yunhi, haan shayad bas tehelne nikla tha

Takra gaya tujhse bhi yun hi, haan mai shaayad kuch nayi manzilo ki talaash mei tha

Socha nahi tha ki koi maqsad hai mera, koi irada bhi nahi tha, ye to bas yun hi ho gaya, mai chal pada aur tu raste sa mil gaya

Rasta bhi tu manzil bhi tu, meri dhoop ko yakaayak ek sayya mil gaya

Saaya bhi aisa jo andhero mei ujaala ban jaye, maine tujhse mil kr kuch kahaawato ko haqeeqat mei badal diya

Sab kehte hai mujhse, tere raste se behtar kai aur safar mil jayenge, par mujhko ko bhi bas teri hi zid hai, haan jaanta hu isme chalte chalte dard bhi dost ban jayenge, ghaav kai de jayenge

Par shaayad kuch mukammal sa kr denge wo ghaav mujhko, jo khaali sa rehta hai mujhme, wo darra yahi bhar jayenge, humei humse mila jayenge


Wednesday 18 March 2020

Tu

Thehertay thay thithaktay thay, bade bechain ho kar paanv mere teri aahat pe chalte thay.

Thirakti thi, thumakti thi, badi bebaak si teri paayal mere kaano mei bajti thi.

Kabhi chhan chhan kabhi dhak dhak tu dhadkan si gunjaati thi, kabhi fislan kabhi thokar tu ban ke raah mei aati thi

Tu hi manzil tu hi mushkil, tu kaise khilkhilati thi, tujhe chhoo lu ya mar jau, kyu tu na hal batati thi

Mai hu baitha yunhi toota humari na-umeedo par, tu udti hai ummeedo mei, tu unko par lagati hai

Saturday 29 February 2020

Roop

Aaj baadalo ko garajte dekha maine, bijliyo ko bhi kadkadaate aasmaan mei dekha, bade dino ke baad kisi ko khul ke apni hasti bayaan karte dekha

Ek muskuraahat thi chehre pe aaj mere, taaro ko tasveerei kheechte hue waise hi badaa kam dekha hai

Par Kuch khaas hua hoga aaj shaayad jo baadal bijli baarish sab ek saath mile, kisi ko to jashn mei ek arsay baad magan dekha hai

Koi poochta hai ye kya hua aur koi bayaan nahi kr pa raha ki ye kya hua, ye jaadu hai ya qeher haikudrat ka, mai jashn ka hissa banu ya karu afsos kismat ka

Bas inhi do kono mei maine aaj ek naye safar ko  kuch kuch hai paya, baadal bijli aur baarish ke beech maine dharti ka naya roop hai paya

Friday 7 February 2020

Hashra

Sarpat chalte rasto ko yun yakaayak maine rukte hue huzoor dekha hai

Maano parvat ne roka ho hawaa ka rukh, kuch iss kadar unko majboor dekha hai

Majboori ka naam leke kuch hawaao ko rukh palat te dekha h, sambhal ja ab bhi ae zindagi, ki maine tujhko jhonko se ladkhadaate dekha h

Ladkhada ke jo ruk gaye kadam, maine unko raste talaashte dekha hai, phir dekha hai unn kadmo ko ghutne pe aate hue, maine huzoor unka har hashra dekha hai

Ghutno pe jo aye, maine unhe dua mei dekha hai, jabki ta-umra kaafiri mei unhe madmast dekha hai

Ek varchasv ki talaash mei wo yunhi bhatakte rahe, maine unke aham ko hote beaabroo dekha hai

Koi saaya mil jaye iss dhoop mei, maine chhanv ki talaash mei unhe daudte dekha hai, dekha hai maine kaampte hue unn kadmo ko, raste pe chalte hue unhe dehdahaate dekha hai

Deh jati jo manzil, ek baar phir bhi sabar kar lete, manzoor tha rasto ka dehna bhi, par kadam chhor gaye saath yunhi, kya daastaan honi thi kya hashra hua

Monday 4 November 2019

Agyaat

Khat khata ke darwaaze ko bade pyaar se usne andar aane ko poochha, mai bhi usi andaaz mei usay ijaazat de di

Sakuchaate se kadmo se andar wo ayi, Maine baithne kk usko jagah bhi de di

Wo boli ki ye mulakaat pal bhar ki nahi hai, maine bhi zindagi apni usko amaanat si de di

Wo krti rahi guftagoo mai sunta raha, aankho mei apne armaan yunhi bas bunta raha

Uski zameeno ka aasmaan ban ne ko mai har chhal krta raha, par wo to kisi saahil ki ret thi jo lehro ki pyaasi thi aur mai baarish ka raja tha

Yakeen dilane ki koshish ki, usko bhi maine khud ko bhi maine, ki sagar na sahi baadal hi sahi teri tapasya ka hi ant hu mai

Par wo maani na apni dhun mei thi, le gyi bahaa sang leher ke sab, mai sookhe baadal mei qaid usay takta raha

Aaj wo lehro ki mauj mei shaamil hai, kehti h muje thodi barsaat toh kar, aray kuch toh baras

Mai barsa uss ki lehro pe to toofaan bhi yunhi ban jaunga, iss adaa ka usko koi ilm nahi, phir bhi mai kinara kr leta hu, khud ko yun samjha bas leta hu, ek baadal ka bas tu hissa hai, sagar ki teri aukaat nahi, aur kis leher mei ab rehti hai wo, uss dishaa ka tujhe koi gyaat nahi

Wednesday 9 October 2019

Amrood

Kuch dard sataate hai teri yaad ke meethe, mere aangan mei rehte wo amrood se latke

Mai chadhta hu jab ped pe uske, wo ghaav hai deta bas chhoone se uske

Wo kaante chhote se, yunhi chubhte jate kuch bina kahe, mai mithaas ke laalach mei uss amrood ko todne jab jata

Wo amrood jo sookhte patte sa, kuch haraa kuch peela, khud se toot ke meri baaho mei nahi aata, par jab chakhta hu mai ras uska, teri yaad mei nahaa jata

Kuch kadwi si kuch meethi si, teri yaad mujhe ye diye jata, mai has padta teri zidd pe har dam, jab bhi mere daanto mei amrood ka beej hai fass jata

Mere aangan mei teri hi khushboo hai, mai chabootre pe bĂ aith ke tere pakne ka intezaar krta hu, par maloom hai mujhe mere aangan ki mitti mei taaqat nahi, tere pakne se pehle tujhe murjha deti hai

Phir bhi umeed mei baitha hu, mitti ko sawaara krta hu, ek ayegi barsaat bhi wo, jab neer nahi barsega ghar mei, bas tu hi tu bichi hogi

Saturday 29 June 2019

Rihaai

Aaj baitha hu intezaar mei kuch khoobsurat lamho kei, kuch lamhe jo khaas ho meri baaho ko, jaise yun hi kabhi tujhe chhoo aaye ho nikal

Wo ghadi h ek jo tik tik krti chalti jati, jitni badhti aas h meri utni hi dheemi padti jati

Shaitaan hai ye samay bhi bas, mujhse athkheli krta hai, wo hai nahi mujhe hai maaloom, phir bhi dil ardili krta hai

Jab pyaar hi pyaar diya maine to phir kaisi ranjish hogi, gar haasil na ho baaho mei tu, benaam si bas mazil hogi

Ranjish na sahi fitrat hi hui, tu ayi na mere seene pe, mera dil ab bhi ye dhadka hai, tere aaghosh ki chhah mei tadpa hai

Ye tadap h bas kuch der ki ab, aa mil ja tu mujhme har su. Aur le mujhko khud mei tu mila

Na mili to koi gham nahi, na tujhko tha, na mujhko bhi yaha, Hum to bas chand musaafir hai yahi keh k kar meri rooh riha